how to decide which engineering field, इंजिनीरिंग की ब्रांच कैसे डिसाइड करें।

To doston kaise hai aap sab pta mujhe aap sab achhe hi honge. To aan ka jo ye post main likh raha hoo isme btaya hoo ki engineering karne se pahle uske branch ko kaise choose karen. Ye post mein bas aapko saare engineering branch ka introduction dunga aur aapko kon si engineering karni chahiye ye btaunga. Aane waali posts mein aapko har ek branch par ek post likhenge. Jo aapko shayad bahut madad karegi.
How to do engineering course in hindi 2018
Engineers

Which branch you should to choose for for engineering

Doston engineering karna mazak nahi hai. Isko karne ke baad aap apni life mein successful honge ya fir engineering karne ke baad bhi failure rah jaayenge ye pta chalta hai. Kai baar hota ye hai ki aap ka intrest kahi aur hai aur aap course koi aur kar rahe hai to wo aapko kabhi bhi success nahi de sakti. Aap hi socho agar aapka interest marketing mein hai aur aapko computer engineering karne ke liye kaha jaaye to aap kya karenge.

When to do computer engineering

Ab baat ye hai ki computer engineering kab karni chahiye. To jab aapko computer mein intrest ho tab hi aap computer engineering Karen. Kyunki agar aapka intrest computer mein sirf game khelne bhar ka hai aur aap soch rahe hai ki computer engineering kiya jaaye to shayad aap galat soch rahe hain. Kyunki computer mein game khelna aur computer engineering mein bahut hi difference hota hai. Aapko Computer engineering karte samay bahut hi deeply study karna padega. Aur ye sab baat computer engineering karne se pahle aapko pta hona chahiye. Nahin to baad mein aapko is baat ka pachhatava bhi ho sakta hai to agar aap computer engineering karna chahte hai to aapko computer ki deeply study karni padegi. Agar aapko lagta hai ki aap ye kar sakte hain to kijiye aap kar sakte hain. Kyunki agar aako khud pe yakin hai to aap beshak kar sakte hain.

When to do civil engineering

Agar aap engineering karna chahte hain to aapko ye to pta hi hoga ki civil engineering kya hota hai. Civil engineering wo students kar sakte hain jo architecture mein intrested hain. Kyunki jab aap civil engineering kar lenge uske baad aapka job lagega to wahan par aapko bade bade buildings ki design banane ko kaha hai jayega. Yun kahe to designing hi aapko karna hai bas fark ye hai ki aapko room ka yaa fir kisi building ka naksha bnana padega.

Automobile engineering kab karna chahiye

Doston agar aapka intrest gaadiyon mein jyada rahta hai. Aap gaadiyon ke baare mein achha knowledge rakhte hain yaa fur knowledge nahi bhi hai aapka interest hai to aap automobile engineering aasani se kar sakte hain. Isko karne ke baad aapka life secure ho jaayega. Aap aasani se kisi bhi achhe automobile company mein job paa sakte hain. Agar aap chaahenge to aap koi bhi branch ka engineering karne ke baad saudi arab ki countries mein jaa sakte hai. Aaj kal wahan engineers ki maanga jyada hai. Aur wahan par aapko salary bhi jabardast milegi. Saudi arab mein job kaise paayen iske uper bhi ek post likhunga aanewale time mein.

Mechanical engineering kab karna chahiye

Mechanical engineering karne se pahle bahut saari chijon ka dhyan rakhna padta hai. Sabse badi baat ye hoti hai ki aap jis college se engineering kar rahe ho wo college kaisa hai uska reputation kaisa hai. Ye sab baatein bahut maayne rakhti hai. Ab main aapko ek baat btane wala hoo. Mera ek friend hai jo ki ek mechanical engineer hai. Aaj uski salary 35,000 rupees hai. Aur doston aapko bta doon unke paas koi bhi experience nahi tha lekin pichhle 2 saal se ek hi company ke saath kaam kar rahe hain. Unka kaam bahut hi aasan hai jaise ki unhonne btaya ki unko bas dekhna rahta hai ki building ka kaam thik se ho raha hai ya nahi.

Last thing which every engineering students must to know

Agar aap ek engineer banana chahte hai to aapko mathematics mein kuchh jyada hi interest hona chahiye. Kyunki agar engineering ki jaan koi subject hai to wo mathematics hi hai. Agar aapka mathematics achha hai to aap engineering asani se crack kar jaayenge lekin aapka maths achha nahi to main recommend nahi karunga ki aap engineering ka course Karen. Milte hai doston aane waale naye post mein tab tak ke lye apna aur apne parivar ka khyal rakhen.
Newest
Previous
Next Post »